"Ek bachpan ka zamana tha,
Jisme khushiyon ka khazana tha;
Chahat chand ko paane ki thi,
Par dil titli ka deewana tha.
Khabar na thi kuch subah ki,
Na shaam ka thikana tha;
thak haarke aana school se, par khelne bhi jaana tha.
Maa ki kahani thi, pariyon ka fasana tha;
barish mein kagaz ki naav thi, har mausam suhana tha.
Har khel mein saathi the, har rishta nibhana tha;
Gum ki zuban na hoti thi, na zakhmon ka paimana tha.
Rone ki wajah na thi, na hansne ka bahana tha;
kyon ho gaye hum itne bade,
isse achha to woh bachpan ka zamana tha"
Happy Children's Day

No comments:
Post a Comment